Faizan-E-Naat: Kya Noor bat'ta hai Akhtar Raza ka chehr with lyrics

Pages

Wednesday, 11 March 2015

Kya Noor bat'ta hai Akhtar Raza ka chehr with lyrics


Kya Noor bat'ta hai Akhtar Raza ka chehra
Pur noor pur ziya hai Akhtar Raza ka chehra

Rehmani faiz hai ye noorani faiz hai ye
Esa chamak raha he Akhtar Raza ka chehra

Ek bar dekhne se ye kifiyat hui hai
Ankho me fir raha he Akhtar Raza ka chehra

Manzur ho sadaqat gar dekhna to dekho
Ba sidq ba safa hai Akhtar Raza chehra

Ahmed Raza ki rangat Noori ka faiz e noori
Dono ka ayina hai Akhtar Raza ka chehra

Batin me jo chamak hai chehre pe wo haya he
Khud dil ka ayina hai Akhtar Raza ka chehra

Sachai ke siwa kuch aya nazar na mujhko
Ankho ne padh lia he Akhtar Raza ka chehra

Kya sham ki wo mehfil ya misr ki majalis
Sabme chamak raha he Akhtar Raza ka chehra

Makbool bargah e haider hasan hai ajiz
Humne bhi chun lia hai Akhtar Raza ka chehra

No comments:

Post a Comment