Faizan-E-Naat: Kursi par koi bhi baithe raja to mera Khwaja hai lyrics

Pages

Wednesday, 11 May 2016

Kursi par koi bhi baithe raja to mera Khwaja hai lyrics



Main gada e khawaja e chisht hoo

Mujeh is gadai pe naaz hai
Mera naaz khawaja pe kyo na ho
Mera khawaja banda nawaz hai



Uske karam ke sab hai bhikhari
Kya rajaa maharaja hai
Kursi par koi bi bhethe Raja to mera Khawaja hai

Sare hind ka hai raja mera Khawaja Maharaja


Hedar ka ladla hai wo zehra ka lal hai

Beshak mera Moin Muhammad ki aal hai
Deewano ko kis bat ka aakhir malal hai
Khawaja ko apni praja ka pura khyal hai


Har aakhn chahty hai ziyarat Moin ki
Har deel main bus gai mohabbat Moin ki
Is sar zamin e hind ki shaho ne kahdiya
Mahshar talak rahegi hukumat Moin ki


Hum garibo ki sadao ne bulaya hai tuje

Hind ka shah Muhammad ne banaya hai tuje
Kese ayega koi harf hukumat pe teri
Panjtan paak ne kursi pe bithaya hai tuje


Pyara hai Hasnen ka beshak Nabi ki aal hai
Sanjar wala peer mera Sayyda ka laal hai
Mast hai mastan he har hal me khush hal hai
Chishtiya daman ko jo pakde wo mala maal hai


Tu dar badar ki thokre 1 baar kha ke dekh

Milta hai kya kisi se jara azma ke dekh
Tu jinse mil raha hai wo sare gulam hai
Raja ko dekhna hai to Ajmer ja ke dekh

4 comments: